Sunday, April 5, 2015

Me thoda sa aalsi hun

Me thoda sa aalsi hun......
Subah jaldi uth nahin pata........
roj rat ko sone se pehle wada karta hun......
par subah ko wada nibha nahin pata ....
sayad us bheed se dar ta hun.......
sayad isi liye us bazar me jaa nahin pata....
roj door se dekhta hun......
par himmat juta nahin pata........
us bazar ki fitrat pata he mujhe .........
karodon ki bheed me sirf tanha log hain.......
phir bhi wahin jate hain.......
wahi tanhai phir kharid te hain.......
Samajh te hain ki sapne kharid te hain ........
par apno ko bech kar sapne bhi to tanha hote hain.......
esa nahin he ki me nahin chahta wo sapne kharid ne ko.....
chahta hun......
par kya karun ........
Me thoda sa aalsi hun......
Subah jaldi uth nahin pata........
bheed se dar ta hun..............
bazar me jaa nahin pata....
door se dekhta hun......
wo himmat juta nahin pata........
Kamjor nahin hun main… himmat bohat hai mujh me…..
Aalsi bhi nahin hun main…… Furti bhi bohat hai mujh me ………
Sayad kimat bhi mere pas he wo sab kharid ne ko Par kyun dun ……….
Darta bhi nahin hun main…….
taras khata hun unpe ….Kyun ki pata hai muje ……
Wo tanha jee lete hain kyun ki maine unko maaf kiya he………
Kyun dun wo kimat gar mujhe pata he ki mere rehem par wo jee te hain ……….
Unki di hui tanhai mere paas he tabhi to wo jinda hain……..
Tanhai ka ehsas unko nahin he tabhi to wo jinda hain…….
Wo jeher me pi leta hun tabhi to wo jinda hain……..
Sapne mene bhi dekhe hain……. Par kimat main tai karunga…..
Bazar khud lagaunga …… khud bechunga ….. khud hi kharidunga……
Munafa bhi kamaunga……….
Munafa sab me batega…….
Hissa lene keliye sab ayenge…..
Sayad bulawa me nahin bhejunga…….
Ek lakdi mere haq ka tum deke hi jaoge ……….
Mere munafe se apna hissa tum leke hi jao ge…….
Ab thoda sa tham gaya hun main ….. bahana hi samajh lo
thoda sa aalsi hun......
Subah jaldi uth nahin pata........
bheed se dar ta hun..............
bazar me jaa nahin pata....
door se dekhta hun......
wo himmat juta nahin pata........